Ye wo products hain jinpar humne sabse zyada quality check kiya hai aur customers ne sabse zyada pasand kiya hai — Sharbati Atta, Basmati Chawal, aur hamari khaas Dal varieties.
Hum sirf anaj nahi bechte — hum ek vaada karte hain: jo hum apne ghar khate hain, wahi aapko bhejte hain.
Seedha kisan ke khet se, koi beechwala nahi
Har batch khud check karte hain hum
Kisan ko sahi daam, aapko sahi cheez
Order milte hi packing aur dispatch
Har product ka batch code, kisan tak verify karein
Lokman jaisi verified brands, asli Sharbati aur Basmati
Urban Anaj sirf ek business nahi hai — ye ek chhote kisan parivar ke bete ki mehnat ka natija hai, jo shahar gaya, zaroorat samjhi, aur wapas apne logon ke liye kuch karne aaya.
Har product ke saath ek batch code hota hai — us batch ko kis kisan ne, kab, kaha ugaya, sab kuch transparent.
Kisan apni fasal kaatta hai aur Urban Anaj ko batch number ke saath register karta hai.
Hamari team har batch ko milawat aur quality ke liye khud check karti hai.
Bina kisi rang ya polish ke, sirf saaf kiya hua, packed asli anaj.
Order ke saath aapko batch code milta hai — chahe to kisan ka naam bhi dekh sakte hain.
"Moong dal bilkul saaf thi, koi keeda ya milawat nahi. Pehli baar aisi dal mili jo bina dhoye bhi saaf lag rahi thi."
"Atta order kiya tha, taza chakki ki khushboo aa rahi thi. Roti bahut soft bani. Ab regular order karunga."
"Idea bahut accha hai - kisan se seedha lena. Quality bhi achi hai, delivery bhi time par hui. Recommend karunga."